Wednesday 1 August 2007

GHAZAL

Sadkon pe shaaistagi ka dhulta khizaab hai !
Khoon ki naaliyon ki ginti behisaab hai !!

Shikast khaayi jab bhi chhote ke haathon
Bade-badon ki ho jati neeyat kharaab hai !

Insaaniyat dekhkar aaj chha jaayega khumaar
Goki na mehfil, na koi sharaab hai !

Har taraf lafz nikal raha hai dwiarthi
Baat karne ka nahin koi jawaab hai !

Shubha kha rahe 'gar har mod pe aap
To bas yahi zindagi janaab hai !

No comments: